Jagdambe bhawani maiya, tera tri-bhuwan mei chaya raaj hai
Sohe vesh kasumal niko, tere ratnon ka sir pe taaj hai
Jab jab bhirh padi bhaktan par, tab tab aaye sahaye kare,
Adham udharan taaran maiya, yug yug rup anek dhare,

Siddh karti tu bhakton ke kaaj hai, naam tero garib nawaaj hai,
Sohe vesh kasumal niko, tere ratnon ka sir pe taaj hai,
Sidh karti tu bhakto ke kaaj hai, naam tero garib nawaaj hai,
Sohe vesh kasumal niko, tere ratnon ka sir pe taaj hai
Jal par thal aur thal par shrishti, adbhut thari maaya hai,
Sur nar muni jan dhyan dhare neet, paar nahi koi paya hai,
Jal par thal aur thal par shrishti, adbhut thari maaya hai,
Sur nar muni jan dhyaan dhare nit, paar nahi koi paaya hai,
Thare haatho mei sewak ki laaj hai, liyo sharno tiharo maiya aaj hai,
Sohe vesh kasumal niko, tere ratnon ka sir pe taaj hai,
Thare haatho mei sewak ki laaj hai, liyo sharno tiharo maiya aaj hai,
Sohe vesh kasumal niko, tere ratnon ka sir pe taaj hai
Zara saamne toh aao maiya, chup chup chalane mei kya raaj hai,
Yu chup na sakogi meri maiya, meri atama ki ye awaz hai,
Zara samne toh aao maiya, chup chup chalane mei kya raaj hai,
Yu chup na sakogi meri maiya, meri aatama ki ye awaz hai,
Jagdambe bhawani maiya, tera tri-bhuwan mei chaya raaj hai,
Sohe vesh kasumal niko, tere ratnon ka sir pe taaj hai
Mai tumko bulau tum nahi aao, aisa kavi na ho sakta,
Baalak apni maiya se bicharkar sukh se kabhi na so sakta,

Meri naiya padi majhdaar hai, ab tu hi to khewan haar hai,
Yu chup na sakogi meri maiya, meri aatma ki ye awaz hai,